Quran e Pak Ky Bary Ma Maloomat in Urdu/Hindi




  1. Quran e Pak ky pehly huroof e Muqattiaat konsy hain? Ans: Alif-Laam-Meem.
  2. Quran e Pak ki qahi ka aghaaz kin kalimaat se hota hay? Ans: Iqra'a Bism I Rabbikal Lazi Khalaq.
  3. Sabse pehly konsi soorat mukammal tor par nazil hui? Ans: Soorat ul Fatiha.
  4. Quran Pak ma sab se pehly Allah Taala ki konsi sifat bayaan ki gai hay? Ans: Ye Ky Wo Rabbul Alameen Hy.
  5. Quran Pak ki woh konsi soorat hay jis ka ikhtitaam Dua par hy? Ans: Soorat ul Baqarah.
  6. Wo konsi soorat hy jis ki ayaat ma likha hy k bachy ko 2 saal tak doodh pilana chahey? Ans: Soorat ul Baqarah Ayat No. 233 ma.
  7. Wo konsi soorat hy jis ma nafarmaano ko bandar banay jany ka waqiyah darj hay? Ans: Soorat ul Baqarah Ayat No. 64 sy 67 ma.
  8. Madina munawwarah ma nazil hony wali sab sy pehli soorat ka name bataey? Ans: Soorat ul Baqarah
  9. Lafz Quran ky meaning bataey? Ans: Bar bar parhi jaany wali kitaab.
  10. Lfz e Quran Quran Pak ma kitni martaba aaya hay? Ans: 66 times.
  11. Huzoor (salam ho aap par) par aakhri wahi wafaat se kitny roz qabal naazil hui? Ans: 7 ya 9 din qabal.
  12. Quran Pak nazil hony ky kitny dor hain? Ans 2 hain 1: Makki or 2: Madani.
  13. Quran Pak kitny arsy ma naazil hua? Ans: 23 years ma thora thora kar k naazil hua.
  14. Hazrat Umar konsi soorat sunkar emaan laaythy? Ans: Soora e Taaha.
  15. In 2 soortun ky name bataen jo 1 saath nazil huien? Ans: Soora e Falaq Or Soorahe Naas.  Continue.....
Previous
Next Post »